Subhan Allah, hum momin yahi shaan rakhte hain. Apni aulad ko hum aise usool sikhayene Allah hamari bhi nasalon ko hifazat karenge.ghaddari,zulm, dhoka,khiyanat, aata rahmi jaisi nasalon ko tabah karne wali bimariyan khoon se nahi soch se aati, jaisi soch hum apni aulaad ko denge wahi phal hum payenge,Allah hamari nasalon ko aise pakizah usool ki zindagi guzarne ki taufeeq ata farmaye👌
https://fb.watch/dqELfo_Kj0/
Zindagi ka ek sabaq:
Zinda rehna hai tu har saans hukumat se na maang
Asal munsif hai khuda raham adaalat se na maang
Zindagi bheek agar hai tu na milna behtar
Aur agar haq hai tu, itni sharafat se na maang
Anmol qaul:
Mushkilen dost aur dushman ki pehchan karadete hain. Bahadur aur buzdil dono saaf nazar aa jate hain. Bahadur is aag mein kundan bankar saamne aata hai jabke buzdil jal kar raakh hojata hai.
Dushmani se ziyaada zalim ghaddari hoti hai - Ertughrul Ghazi
Allah hamein duniya mein kisi ka ghulaam bankar jeene se hifazat farmaye:
Sar jhokaoge Tu pathar devta ho jayega
Itna mat chaho use wu bewafa ho jayega
Hum bhi darya hain hamein apna hunar malum hai
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jayega
Comments
Post a Comment