Solution Allama Iqbal gave for followers of Islam to regain its lost paradise.
http://www.allamaiqbal.com/publications/journals/review/apr62/7.htm
Aankh kholne wali nazm (ye Allama Iqbal ka nahin unke chahne Wale poet Nabeel ka kalam hai):
Khuda e lam yazal ka dast qudrat tu zubaan to hai
Shajar sukha agar hoga to sukha hi samar hoga
Jo murdo ke pujaari hai unhe mitne ka dar hoga
Tera rab zinda o javed so jaa vida tu hai
Khuda e lam yazal ka dast qudrat tu zubaan to hai
Tuloo e shams ko kab parda e shab rok paata hai
Gumaa hai sirf baatil ka ke wo tujh ko jhukaaata hai
Na rakh pasti ka dar dil me Misaale aasma tu hai
Khuda e lam yazal ka dast qudrat tu zubaan to hai
Na so mayoos wo ghaflat ke chaadar taan kar naaada
Adhura reh na jaae tere maazi ka safar naada
Jo nikla badr ke maidaan se wo kaarwa tu hai
Khuda e lam yazal ka dast qudrat tu zubaan to hai
Sadaqat me tu abubakr o shuja’at me ali hoja
Umar sa sher e dil usmaan ke jaisa ghani hoja
Tere aslaaf ki meeraas ka ab paasbaa tu hai
Khuda e lam yazal ka dast qudrat tu zubaan to hai
Nabeel iqbal dete hai sada tujh ko tarano me
Tera hi zikr hai quran ke raushan bayaano me
Farishto ki duaao me aye mere nawjawan tu hai
Khuda e lam yazal ka dast qudrat tu zubaan to hai
Comments
Post a Comment